ungliyon se mitti mein suraten banate ho ek jahan banate ho ek jahan mitate ho khak se dobara kya aasman bana loge aasman ko tum aise khak mein milate ho kya azal se pahle tha kya abad se aage hai dekhte hain ye parda kab kahan giraate ho kar-gah-e-hasti mein jab fana muqaddar hai phir fana ke aalam ko kaise bhul jate ho meri be-ghari ka bhi aaj majra sun lo unche unche mahlon ki dastan sunate ho zakhm jin ko dete ho pattharon ki barish se pairahan se kyun un ke phir alam banate ho munsifi ke aain ko tum ne hi to likkha hai sar jo jhuk nahin sakta us ko kat late ho