yaad rakhne ka bhi wada ho zaruri to nahin bhul jaane ka irada ho zaruri to nahin nam achchha sa koi hum ne rakha hai likh kar dil ka kaghaz abhi sada ho zaruri to nahin is tabassum ko mere dukh ki alamat na samajh ye kisi gham ka labaada ho zaruri to nahin yunhi ek bar kabhi ek nazar dali thi us ko ehsas ziyaada ho zaruri to nahin han hisab-e-gham-e-dauran to bahut mushkil hai aur phir us ka iada ho zaruri to nahin besh-qimat hai bahut surkhi-e-khun-e-dil bhi ru-ba-ru jam mein baada ho zaruri to nahin sari duniya ke khazane bhi mayassar hon jise hath bhi us ka kushada ho zaruri to nahin