unhen batao jo kahte hain kya bacha mere pas

unhen batao jo kahte hain kya bacha mere pas
har ek chiz luta kar khuda bacha mere pas

uthane wale utha le gae khazina-e-zar
main khush-nasib hun rakht-e-dua bacha mere pas

kai samaaten khaif hain is liye mujh se
sukut-e-shahr mein sang-e-sada bacha mere pas

main dushmanon ke liye bhi to fikrmand nahin
ki khair-khwah bhi ab kaun sa bacha mere pas

zaban khule to bharam dosti ka jata hai
khamosh hun ki yahi rasta bacha mere pas

zamana us pe bhi naraaz hai ki le de kar
hawala sirf tere nam ka bacha mere pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close