unki mast aankhon ne kar Dala hai mastana mujhe

un ki mast aankhon ne kar dala hai mastana mujhe
ab nahin hai ehtiyaj-e-daur-e-paimana mujhe

bhul kar bhi ab nahin aata gulistan ka khayal
is qadar aaya hai ras ai ishq virana mujhe

aap ka diwana kahta hai mujhe sara jahan
aap bhi kah dijiye ek bar diwana mujhe

khud hi apni aag mein aksar jala karta hun main
husn ne bakhsha hai soz-e-ishq-e-parwana mujhe

dekhiyega phir mere dil ki junun-samaniyan
dekh lun main us ko aur wo chashm-e-masatana mujhe

bach nahin sakta bala-e-barq-o-jaur-e-baad se
kuchh sukun dene laga hai mera kashana mujhe

husn se chashmak raha ho jis ka maqsud-e-hayat
bakhsh di qudrat ne wo taba-e-kalimana mujhe

ab yahi hai aarzu 'jauhar' dil-e-betab mein
rashk-e-firdaus-e-barin ho mera gham-khana mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close