utha ke bar-e-hiqarat hansi-khushi main ne nigah-e-naz ki nafrat bhi lut li main ne khud apni zat se bhi kar ke dushmani main ne nibah di gham-e-furqat se dosti main ne tadap ke pursish-e-gham par wo aah ki main ne dil-e-tabah ki taswir khinch di main ne sham-e-umid ki gul kar ke raushni main ne nashat-e-gham ki nai rah dhundh li main ne ghazab hai us ko khabar tak na ho ki jis ke liye tadap-tadap ke shab-e-gham guzar di main ne kisi ke soz-e-mohabbat ki aanch de de kar gham-e-hayat ki rangat nikhaar di main ne maza mila hai tadapne ka jab se furqat mein tere karam ki tamanna bhi chhod di main ne tamasha apni tabahi ka khub dekh liya nisar kar ke tere gham pe har khushi main ne fasana-e-gham-e-furqat na puchhiye 'sahir' guzarna thi shab-e-gham guzar di main ne