wahi andaz-e-jahan-e-guzaran hai ki jo tha in nigahon se wahi raaz ayan hai ki jo tha wahi rindon ki siyah-noshi-e-durd-e-tah-e-jam wahi nazzara sar-e-ku-e-mughan hai ki jo tha hae us kaif-e-nukhustin ki khumar-angezi teri aankhon mein wahi khwab jawan hai ki jo tha wahi targhib-e-tamanna ki chaman-arai aur pahlu mein wahi qalb-e-tapan hai ki jo tha lazzat-e-shauq ka anfas mein nam baqi hai mere sine mein wahi soz-e-nihan hai ki jo tha inqilabaat abhi gardish-e-ayyam mein hain tere jalwon mein wahi sahr-e-rawan hai ki jo tha zauq-e-warafta ki asnam-gari mit na saki hail-e-rah wahi sang-e-giran hai ki jo tha wahi aashufta-nigahi wahi sahra-talabi wahi ek marka-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha