us dil ki musibat kaun sune jo gham ke muqabil aa jae kis ne ye kaha tha tinke se wo bijli se takra jae duniya ki bahaaron se aankhen yun pher lin jaane walon ne jaise koi lambe qisse ko padhte padhte ukta jae aaghaz-e-mohabbat hai aur dil yun hath se nikla jata hai jaise kisi alhad ka aanchal sarka jae dhalka jae guzre hue dilkash lamhon ki bhuli hui yaad aisi aai jaise koi pitam pardesi sote mein achanak aa jae jab pahle-pahal ehsas hua hai gham ka to dil aisa kanpa jaise ki dulhan pahli shab ki aahat jo mile tharra jae kanghe se ghaneri zulfon mein yun lahren uthti jati hain jaise ki dhundlaka sawan ka badhta jae badhta jae hasti ka nazara kya kahiye marta hai koi jita hai koi jaise ki diwali ho ki diya jalta jae bujhta jae ek aas jo dil ki tut gai phir dil ki khushi baqi na rahi jaise ki andhere ghar ka diya gul ho to andhera chha jae dil hai ki 'nushur' ek baja hai sine ke andar taron ka jab chot pade jhankar uthe jab thes lage tharra jae