wo din bhi the ki in aankhon mein itni hairat thi tamam bazigaron ko meri zarurat thi wo baat soch ke main jis ko muddaton jita bichhadte waqt batane ki kya zarurat thi pata nahin ye tamanna-e-qurb kab jagi mujhe to sirf use sochne ki aadat thi khamoshiyon ne pareshan kiya to hoga magar pukarne ki yahi sirf ek surat thi gae bhi jaan se aur koi mutmain na hua ki phir difaa na karne ki hum pe tohmat thi kahin pe chuk rahe hain ye aaine shayad nahin to aks mein ab tak meri shabahat thi