use shikast na hone pe man kitna tha jo reza reza hua sakht-jaan kitna tha hai ab dilon mein ye dahshat ki sar pe aa na gire zamin se dur yahi aasman kitna tha main apna zarf bhi dekhun ki us se ranjish par bhula diya ki wahi mehrban kitna tha baja hai wusat-e-duniya magar chhuta jab ghar khula ki tang hamin par jahan kitna tha diye to bujh gae bijli ke qumqume na bujhe hawa ko zor pe apne guman kitna tha jo phul god se us ki 'kamal' chhine gae udas un ke liye pul-dan kitna tha