us ka andaz bhi chehra bhi ghazal jaisa hai wo padosi mera lagta bhi ghazal jaisa hai dekhne walo ise meri nazar se dekho ye mera chand sa munna bhi ghazal jaisa hai dharm ke nam pe ye qatl ki sazish kuchh soch tere hamsae ka bachcha bhi ghazal jaisa hai husn aisa hai ki dekho to lage taj-mahal is pe wo shakhs sanwarta bhi ghazal jaisa hai pat-jhadon se bhi ubharti hain bahaaren 'ashiq' rang mausam ka badalta bhi ghazal jaisa hai