us kakul-e-pur-kham ka khalal jae to achchha dil sar se bala tere ye tal jae to achchha bose ka sawal us se karun hun to kahe hai chal re mere kuchh munh se nikal jae to achchha isbaat na ho dawa-e-khun us pe ilahi surat mere qatil ki badal jae to achchha le sar pe wabaal apne patangon ka na ai shama tu aur bhi joban se jo dhal jae to achchha dasne ko mera dil hai teri zulf ki nagin taus-khat us ko jo nigal jae to achchha hum chashmi teri chashm se karta hai ye baadam us ko koi patthar se kuchal jae to achchha zulfon ke tasarruf mein hai be-wajh rukh-e-yar kuffar ka kabe se amal jae to achchha khun ho ke rawan dil ho gar aankhon se to behtar ya ishq ki aatish mein ye jal jae to achchha lab par se bulaq apni dam-e-bosa utha do andesha-e-zambur-e-asal jae to achchha pahlu se nikal jae agar dil to bala se tu chhod ke khali na baghal jae to achchha kahte hain 'nasir' apni na tum aah ko roko ye tir nishane pe jo chal jae to achchha