ye zinda rahne ka mausam guzar na jae kahin ab aa bhi jao dil-e-zar mar na jae kahin mera sitara to ab tak nazar nahin aaya main dar raha hun ki ye shab guzar na jae kahin nadi kinare khada ped soch mein gum hai koi bhanwar use barbaad kar na jae kahin parinde apne thikanon ko khair se pahunche dua yahi hai ki koi thahar na jae kahin gila bhi khud se hai aur silsila bhi khud se hai hamari baat idhar se udhar na jae kahin