us par nigah phirti rahi aur dur dur khwabon ka ek bagh nigahon mein khil gaya hairan bahut hua meri aankhon mein jhank kar aur phir wo in mein phailte manzar mein mil gaya koi to shai thi jo mere andar badal gai ya zakhm khul gaya koi ya koi sil gaya khwabon se ek khumar mein malbus wo badan ek rang-e-nashsha tha jo mere khun mein khil gaya guzri thi us ke pas se ek mauj-e-be-niyaz andar talak darakht mere dil ka hil gaya