us se badh kar to koi be-sar-o-saman na mila dil mila jis ko magar dard-e-ghariban na mila ek zara zauq-e-tajassus mein badhaya tha qadam nikhat-e-gul ko phir aaghosh-e-gulistan na mila baat itni si hai ai waiz-e-aflak-nashin kya milega use yazdan jise insan na mila un se ab tazkira-e-daulat-e-kaunain hai kyun jin gharibon ko tera gosha-e-daman na mila khubi-e-daulat-o-danish pe nazar hai sab ki koi us daur mein dil-dada-e-insan na mila