us se bhi aisi KHata ho ye zaruri to nahin

us se bhi aisi khata ho ye zaruri to nahin
wo bhi majbur-e-wafa ho ye zaruri to nahin

log chehre pe kai chehre chadha lete hain
wo bhi khul kar hi mila ho ye zaruri to nahin

ab ke jab us se milo hath daba kar dekho
ab bhi wo tum se khafa ho ye zaruri to nahin

justuju kis ki hai ye dasht-e-fana ke is par
wo koi aur raha ho ye zaruri to nahin

dar pe khinche gae kitne zamane mein 'shakil'
har koi isa raha ho ye zaruri to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close