ye rah-rawan-e-shauq jo diwar ke sae mein hain

ye rah-rawan-e-shauq jo diwar ke sae mein hain
sach puchhiye to ek nae aazar ke sae mein hain

jis ko bhi dekho bas idhar qimat lagane aa gaya
lagta hai jaise hum kisi bazar ke sae mein hain

apnon mein rahte the to hum bhi kis qadar gumnam the
mashhur hain jis waqt se aghyar ke sae mein hain

hum ko bhala dariya teri tughyaniyon se khauf kya
apni to sari kashtiyan patwar ke sae mein hain

wo kitne danish-mand hain un par hamein bhi rashk hai
jo log apne dushman-e-hushiyar ke sae mein hain

raushan hain kitne raste iqan ke iqrar ke
kya log hain jo aaj tak inkar ke sae mein hain

un ke numu ki fikr bhi aakhir hamein kaise na ho
apne sabhi paude ghane ashjar ke sae mein hain

ab to ghanimon se hamein kuchh dar nahin lagta kabhi
hum ek zamane se yahan talwar ke sae mein hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close