us zulf ke saude ka khalal jae to achchha us pech se dil apna nikal jae to achchha shatranj mein ji un ka bahal jae to achchha ai 'mehr' ye chaal achchhi hai chal jae to achchha is zist se ab maut badal jae to achchha bechain hai dil jaan nikal jae to achchha mahrum hun is daur mein saqi faqat ek main ai kash khum-e-baada ubal jae to achchha kham thonk ke karta hai ye ab beach bula ke is tarah ke tarrar ka bal jae to achchha is ishq mein phir jaan ke pad jaenge lale ab bhi dil-e-betab sambhal jae to achchha chhu jae jo bande ki siwa jism se tere allah kare hath wo gul jae to achchha kya ishq sa hai ishq mohabbat si mohabbat badlunga main is dil ko badal jae to achchha mumkin hi nahin hai ki bache jaan salamat us kuche mein mushtaq-e-ajal jae to achchha boson mein maza qand-e-mukarrar ka ho saqi ek daur dobara ka bhi dhal jae to achchha ab zauq ki manind gham-e-ishq jigar mein kanta sa khatakta hai nikal jae to achchha rangini-e-fikr aur meri raushni-e-tama kuchh lal-o-gohar aur ugal jae to achchha ahbab-e-banaras ke liye 'mehr' ka tohfa ek aur bhi sath us ke ghazal jae to achchha