warid koh-e-bayaban jab mein diwana hua kohkan se dosti majnun se yarana hua wahshat-afza kis qadar apna bhi afsana hua mera qissa sunte sunte qais diwana hua khar-e-sahra par khiraman jab main diwana hua khun-e-pa se rashk-e-paen bagh virana hua aankh nargis se lada kar aashna hi andalib ai gul-e-tar ek main aur sabza begana hua pahniye kafni qanaat hai libas faqir mein kab tabdil us ko shakl rakht-e-shahana hua kal wahan par howega gor-e-ghariban ka maqam aaj jis ja par bana qasr-e-amirana hua baiat-e-daste-subu ka pas pyala pi liya tak ka shajara mila mashrab bhi rindana hua sham-e-kaukal dekhte hi anjuman mein phatak gaya ek jale tan aashiqon mein hum sa parwana hua tal gai sar se bala apna muqaddar khul gaya mu-e-sar mein aaj dast-e-yar ka shana hua ab kahin koi thikana hi nahin juz ku-e-yar murtad-e-kaba hua mardud-e-but-khana hua jam-e-kausar saqi-e-kausar bhi denge hashr mein dast-e-saqi se inayat mujh ko paimana hua kohr ki qutuben hain ai mah teri tasbih mein kaukab-e-sayyara san raushan har ek dana hua kaun aisa hai jo mujh bekas ki dildari kare darpa-e-jaan dost dushman apna begana hua khub hi pakde ye kafir bhi bala ki sanp the panja-e-afsun-gar ka zulfon mein teri shana hua tum bata do kis jagah rakhe hain dil ushshaq ke dhundh lunga aap mera dil hi pahchana hua sozan-e-isa ne us ke panw ke moze siye panja-e-khurshid hazir le ke dastana hua chahta hun apni zanjiren junun ke josh mein rizq mere waste zanjir ka dana hua dar-ba-dar mara phira main justuju-e-yar mein zahid-e-kaba hua rahban-e-but-khana hua nam par mujh baada-kash ke sad chashm-e-mast hai nama-e-amal mera khat paimana hua mere ghar aaya hai mere sher sunne ko wo 'mehr' ghairat-e-baitushsharaf apna bhi kashana hua