use mohabbat hai hum se lekin kabhi zaban se kaha nahin hai nigah padhne mein hum hain mahir use ye shayad pata nahin hai qadam tale hai zamin ghaeb kahin pe chhat ka pata nahin hai ye bhed kyun hai samajh sake jo abhi talak to mila nahin hai guzar rahi zindagi ye kaisi jo puchhte ho to kya bataun khuda se mujh ko gila nahin hai magar jo chaha mila nahin hai wo kah raha hai ki jaan apni hamari khatir luta sakega hai kaun jis ne wafa mein ye sab kaha nahin ya suna nahin hai na zindagi se mujhe gila hai na zindagi se tujhe gila hai magar alag is tarah se jina tumhin kaho kya saza nahin hai kisi ko mange bina mile sab kisi ki jholi rahe hai khali ki is ke pichhe khuda ki mansha hai kya kisi ko pata nahin hai ki mushkilon se daro nahin aur kaam himmat se lo hamesha tabhi saphalta milegi ek din ye sach kisi se chhupa nahin hai