ye bhi nahin ki baala-o-bartar nahin hun main mana ki musht-e-khak se badh kar nahin hun main kafi hai ek kiran bhi mitane ke waste shabnam hun barg-e-gul pe samundar nahin hun main kyon kar qafas mein mujh ko na aae chaman ki yaad be-baal-o-par zarur hun be-ghar nahin hun main zulm-o-sitam ki sari haden par kar gaya phir bhi wo kah raha hai sitamgar nahin hun main koh-e-gham-o-alam ko kiya main ne pash pash yun dekhiye to aahan-o-patthar nahin hun main main tera ek partaw-e-fani jahan mein hun goya ye tai hai utna bhi kamtar nahin hun main tarik raston mein kaha rahbar ne 'naz' azm-e-safar ke nur se badh kar nahin hun main