ye apne aap pe tazir kar rahi hun main ki apni soch ko zanjir kar rahi hun main hawaon se bhi nibhani hai dosti mujh ko diye ka lafz bhi tahrir kar rahi hun main na jaane kab se badan the adhure khwabon ke tumhaari aankh mein tabir kar rahi hun main daricha khole hue rang aur khushbu ka suhani-sham ko taswir kar rahi hun main duaen mang rahi hun hawa rahe jahil gharonda ret pe tamir kar rahi hun main wo muntazir hai mera kab se khud pe raat odhe 'shabana' subh si takhir kar rahi hun main