wahshat-e-jaan ko payam-e-nigah-e-naz to do is fasane ko zara garmi-e-aghaz to do mere qadmon ke nishan rah se kuchh dur sahi tum se main dur nahin hun mujhe aawaz to do dil mein tufan nahin ho to kare kya naghma main sunata hun yahi rag mujhe saz to do koi buniyaad nahin qaid-e-talluq ki abhi jazba-e-gham ko zara fikr ka andaz to do us ne sine se lagaya jo kaha main ne 'hasan' dil mein rakhne ke liye apna koi raaz to do