wahshat thi hamein bhi wahi ghar-bar se ab tak sar mare hain apne dar o diwar se ab tak marte hi suna un ko jinhen dil-lagi kuchh thi achchha hua koi is aazar se ab tak jab se lagi hain aankhen khuli rah take hain soe nahin sath us ke kabhu pyar se ab tak aaya tha kabhu yar so mamul hum us ke bistar pe gire rahte hain bimar se ab tak bad-ahdiyon mein waqt-e-wafat aan bhi pahuncha wada na hua ek wafa yar se ab tak hai qahr o ghazab dekh taraf kushte ke zalim karta hai ishaarat bhi tu talwar se ab tak kuchh ranj-e-dili 'mir' jawani mein khincha tha zardi nahin jati mere rukhsar se ab tak