uske partaw se hua hai zafrani rang ka

us ke partaw se hua hai zafrani rang ka
aaina to aaj bhi hai kahkashani rang ka

hijr ke baadal chhate to wasl ki taqwim mein
dil huwaida ho raha hai gulsitani rang ka

pairahan us ka hai aisa ya jhalakta hai badan
ek pari-wash raqs mein hai urghuwani rang ka

aaj ki shab khas hogi jab sunaunga use
ek qissa apna zati dastani rang ka

doston ki mehrbani se hua ye kaam bhi
main ne dekha hi nahin tha khun pani rang ka

gar dilon se yun dhuan uthta rahega raat din
aasman kaise bachega aasmani rang ka

han usi ne phul tanke honge in ashjar par
jis ne mitti ko diya hai jubba dhani rang ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close