us ki duzdida-nigahi dekhna achchha laga bhid mein ek ajnabi ka samna achchha laga jis ki taswir-e-tasawwur zehn mein mahfuz hai jada-e-ulfat mein us ko dhundhna achchha laga gholna kanon mein ras shirini-e-guftar se ruh-parwar us ka hansna bolna achchha laga murtaish hota hai jis ko dekh kar tar-e-nafas us ka zulf kham-ba-kham ka kholna achchha laga dil se dil ko rah hoti hai ye hai us ka subut jate jate us ka mud kar dekhna achchha laga wajd-awar tha gul-o-bulbul ka rabt-e-bahami ghuncha-o-gul se chaman mein khelna achchha laga hai jahan-e-rang-o-bu mein husn jis ka intikhab us ka hona bazm mein jalwa-numa achchha laga mere sine mein dhadakta hai dil-e-dard-ashna is liye tute hue dil jodna achchha laga munakis har chiz mein hota hai 'barqi' jis ka aks us ka chehra aaina-dar-aina achchha laga