us ki har baat ne jadu sa kiya tha pahle kitna dilchasp kahani ka khuda tha pahle khwab-lamha teri khushbu mein basa tha pahle be-khabar nind mein ek phul khila tha pahle koi tasir thi jo gham ko bhula deti thi tere andar koi fankar chhupa tha pahle ye badan ab tujhe be-ruh khandar lagta hai is haweli mein ek insan jiya tha pahle waqt par maut ki lazzat bhi nahin de paya mujh ko wo aadmi hira hi laga tha pahle ek sweater ne badha di thi jawani meri tum ne mere liye ek khwab buna tha pahle main jo kahta tha wahi baat hua karti thi mere ghar mein koi jadu ka diya tha pahle kaise aata hai dabe panw gunahon ka khayal kitni khamoshi se darwaza khula tha pahle jo bhi chehra tha wo apna sa laga karta tha mai-kada raqs mein jab jhum raha tha pahle uth gaya hai to ab is shahr ko le dubega wahi tufan mere andar jo daba tha pahle