wasl aasan hai kya mushkil hai tujh ko ye dhyan hai kya mushkil hai waza ka dhyan hai kya mushkil hai dost nadan hai kya mushkil hai hont par jaan hai kya mushkil hai mushkil aasan hai kya mushkil hai hae diwana bana kar kahna phir bhi ek shan hai kya mushkil hai ab jagah chahiye wahshat ko meri tang maidan hai kya mushkil hai jis ko mar mit ke mitaya tha abhi phir wahi dhyan hai kya mushkil hai be-bulae kahin jaane ke nahin aa padi aan hai kya mushkil hai hum na uthte hain na wo dete hain hath mein pan hai kya mushkil hai hum ko samjhae samajh naseh ki phir ye ehsan hai kya mushkil hai mere bad-ahd ko allah rakhe maut aasan hai kya mushkil hai us ne rakkha hai wo darban jis se jaan-pahchan hai kya mushkil hai shaikh karta hai buton ki ghibat phir musalman hai kya mushkil hai husn par khalq miti jati hai jo hai qurban hai kya mushkil hai hijr mein jaan nikalti nahin aah ye bhi arman hai kya mushkil hai bandagi but ki khuda ke bande kufr iman hai kya mushkil hai chaaragar ko hai mere fikr-e-dawa dard hi jaan hai kya mushkil hai bazm mein zahr ugalne ko adu dar pe darban hai kya mushkil hai yun to pahle bhi mohabbat thi 'hafiz' ab to iman hai kya mushkil hai