wo mere khwab ki tabir to batae mujhe main dhup mein hun magar dhundte hain sae mujhe main raushni ki kisi saltanat ka shahzada magar charagh mile hain bujhe-bujhae mujhe wo ja chuka hai to naqsh-e-qadam bhi mit jaen bichhad gaya hai to ab yaad bhi na aae mujhe kisi jawaz ka hona hi kya zaruri hai agar wo chhodna chahe to chhod jae mujhe to motiyon mein na tulne ka ranj khatm hua kisi ki aankh ke aansu kharid lae mujhe larazte kanpte hathon ko phir na ho zahmat khuda kare ki yahi zahr ras aae mujhe main chahta hun kabhi yun bhi ho ki meri tarah wo mujh ko dhundne nikle magar na pae mujhe