wo pahli si chashm-e-murawwat nahin hai wo agli si mujh par inayat nahin hai ulajhne ki ghairon se aadat nahin hai karun kya meri aisi fitrat nahin hai jo tujh mein bhalai hai wo bhi kahunga mujhe tujh se naseh adawat nahin hai jafa-o-sitam zulm sab kuchh hain tum mein agar hai to ek aadamiyyat nahin hai buto wada kar lo abhi khauf kya hai abhi aati jati qayamat nahin hai satate hain ye but kuchh is tarah jaise kabhi aane wali qayamat nahin hai tere hijr mein sar pe kya kuchh nahin hai musibat nahin hai ki aafat nahin hai hamin ne to dil saikdon khun kiye hain hamin ko to is par nadamat nahin hai mujhe hijr ka sadma kis shab nahin hai mere sar pe kis roz aafat nahin hai koi khub-ru kya sataega mujh ko 'fahim' ab wo apni tabiat nahin hai 'fahim' aise zalim ko de baithe dil tum kaho kya hai gar ye himaqat nahin hai