us ne kiya hai wada-e-farda aane do us ko aae to nam badal dena phir mera laut ke wapas jae to arz-e-tamanna karenge us se agar na wo thukrae to us se zarur milenge ja kar pahle hamein bulae to izzat-e-nafs ka hai ye taqaza husn-e-suluk karen donon us ko hum labbaik kahenge rasm-e-wafa nibhae to safha-e-zehn pe naqsh hai us ka mere abhi tak naz-o-niyaz jaise sharmata tha pahle waise hi sharmae to ruthne aur manane ke ehsas mein hai ek kaif-o-surur main ne hamesha use manaya wo bhi mujhe manae to kyun rahta hai mujh se bad-zan hai jo mera manzur-e-nazar kuchh nahin aata meri samajh mein koi mujhe samjhae to khun-e-jigar se sinchunga gulzar-e-tamanna us ke liye bagh-e-hayat mein gul-e-mohabbat aa kar mere khilae to fasl-e-khizan mein kya hoga aasar numayan hain jis ke fasl-e-bahaar mein 'barqi' apne dil ki kali murjhae to