utar ke dhup jab aaegi shab ke zine se udegi khun ki khushbu mere pasine se main wo gharib ki hun chand be-sada alfaz ada hui na koi baat bhi qarine se guzishta raat bahut jhum ke ghata barsi magar wo aag jo lipti hui hai sine se lahu ka chikhta dariya dhyan mein rakhna kisi ki pyas bujhi hai na os pine se wo sanp jis ko bahut dur dafn kar aae palat na aae kahin waqt ke dafine se dilon ko mauj-e-bala ras aa gai shayad rahi na koi shikayat kisi safine se wajud shola-e-sayyal ho gaya hai 'shamim' uthi hai aanch ajab dil ke aabgine se