uThegi un ke chehre se naqab aahista aahista

uthegi un ke chehre se naqab aahista aahista
nazar aa jaega ye inqalab aahista aahista

hamesha ishq mein sabr-o-sukun se kaam chalta hai
dil-e-nakaam hoga kaamyab aahista aahista

ye ruswai to lazim thi magar itna kiya main ne
hua ruswa zamane mein shabab aahista aahista

sawal un ke to aksar barq-raftari se hote hain
nikalta hai mere munh se jawab aahista aahista

suna de faisla jo kuchh bhi hai ai dawar-e-mahshar
na kar mere gunahon ka hisab aahista aahista

tasalli un ke milne se bhi ab hoti nahin dil ki
yahan tak badh gaya hai iztirab aahista aahista

ye pina bhi hai kya pina ye bakhshish bhi hai kya bakhshish
pilai mujh ko saqi ne sharab aahista aahista

yahan tak guftugu mein tez chalti thi zaban un ki
ye kahna hi pada mujh ko janab aahista aahista

tunak-zarfon ki sohbat ras aati ta-ba-kai us ko
jahan mein ho gai ruswa sharab aahista aahista

pasand aai hamein ye baat 'sahir' jab kaha us ne
wafadaron ka hoga intikhab aahista aahista


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close