yun to in aankhon se hum ne o but kahne ko duniya dekhi lekin sari khudai bhar teri surat-e-yakta dekhi khel gae kyun jaan pe 'anjum' tum ne abhi kya duniya dekhi marne lage khuban-e-jahan par teri meri dekha-dekhi dard-e-jigar kam tha ki nahin tha ye to bata dam tha ki nahin tha kah to mariz mein kuchh bhi dekha nabz jo tu ne masiha dekhi us ko bhala kyunkar chain aaya dil ko kya kah kar samjhaya surat teri jis ne sitam-gar tham ke apna kaleja dekhi wasl ki shab barham hi raha wo ta-ba-sahar uljha hi kiya wo bal na gaya abru se us ki zulf bhi hum ne suljha dekhi wah-re-wa ai nala-e-sozan dekh li teri thandi garmi dil na pasija us kafir ka aag bhi tu ne bhadka dekhi us ke dil se gai na kudurat dil ki dil hi mein rah gai hasrat hum ne jhadi ashkon ki barson in aankhon se barsa dekhi ek zara se hashr pe waiz us ko daraata allah allah jis ne buton ki gali mein barson roz-e-qayamat barpa dekhi jaisi zist hamari guzri dushman ki bhi yun na basar ho 'anjum' hazrat-e-dil ki badaulat hum ne musibat kya kya dekhi