yaad aate gae bhulane se dard badhta gaya dabane se raaz ifsha hua chhupane se khamushi kam na thi fasane se main ne minnat bhi ki magar tum to baz aae na dil dukhane se kuchh muqaddar hi na-rasa paya mujh ko shikwa nahin zamane se meri qismat mein jo ho saf kaho kaam chalta nahin bahane se koi dard-ashna nahin milta kya wafa uth gai zamane se un ko pa kar bhi kuchh nahin paya baz aae hum aise pane se hum ko mitna tha un pe ai 'sahir' mit gae hum kisi bahane se