ye kis ne kah diya tujh se ki sahil chahta hun main samundar hun samundar ko muqabil chahta hun main wo ek lamha jo tere qurb ki khushbu se hai raushan ab is lamhe ko paband-e-salasil chahta hun main wo chingari jo hai mashshaq fann-e-shoala-sazi mein use raushan tah-e-khakistar-e-dil chahta hun main bahut be-zar hai umr-e-rawan sahra-nawardi se pae-kar-e-junun taza mashaghil chahta hun main na ye khwahish ki wo mitti mein meri jazb ho jae na khud ko dastan mein us ki shamil chahta hun main ajab bismil hai 'ishrat' apne qatil se ye kahta hai sar-e-mahfil tujhe ai jaan-e-mahfil chahta hun main