wo naqab-e-rukh utha kar kabhi baam tak na pahunche wo karam bhi kya karam hai jo awam tak na pahunche ye shabab ek bala hai meri tujh se iltija hai dil-e-zar koi tohmat mere nam tak na pahunche meri har khushi hai ai dil mere gham ki ek nishani wo sahar sahar nahin hai ki jo sham tak na pahunche wo tuyur khak samjhe par-o-baal ki haqiqat jo nikal kar aashiyan se kabhi dam tak na pahunche tere pasban ko mujh se koi khas hai adawat main payam tujh ko bhejun to salam tak na pahunche tujhe murgh-e-dil mubarak ye talash-e-dana lekin ye talash rafta rafta kahin dam tak na pahunche rahe kyon na un se shikwa mujhe kam-nigahiyon ka mera khat padha bhi lekin mere nam tak na pahunche ye hai raaz-e-ishq 'sahir' ise kyon chhupa rahe ho ye wo baat hi nahin hai jo awam tak na pahunche