uthi nigah to apne hi ru-ba-ru hum the zamin aaina-khana thi chaar-su hum the dinon ke baad achanak tumhaara dhyan aaya khuda ka shukr ki us waqt ba-wazu hum the wo aaina to nahin tha par aaine sa tha wo hum nahin the magar yar hu-ba-hu hum the zamin pe ladte hue aasman ke narghe mein kabhi kabhi koi dushman kabhu kabhu hum the hamara zikr bhi ab jurm ho gaya hai wahan dinon ki baat hai mahfil ki aabru hum the khayal tha ki ye pathraw rok den chal kar jo hosh aaya to dekha lahu lahu hum the