wabasta jab hayat se ruswaiyan na thin ghazlon mein husn fikr mein gahraiyan na thin yun to sabhi ke pas thi mansur ki sanad lekin kisi zaban pe sachchaiyan na thin dekha to har taraf the gham-e-dil ke raazdar socha to dur tak bhi shanasaiyan na thin har dam safar mein aap ki yaadon ka sath tha tanhaiyon ke baad bhi tanhaiyan na thin 'zahid' ajib log the shahr-e-hawas ke log aankhen to sab ke pas thin binaiyan na thin