wafa ka nam hamesha zaban par rakkha ye bar hum ne faqat apni jaan par rakkha yaqin ka phul na shakh-e-guman par rakha ki hum ne khud ko sada ek nishan par rakkha ye kaun chupke se dhadka gaya hai raat ka dil ye phul kis ne fasil-e-makan par rakkha hamare baad hamari ghazal ko logon ne hadis-e-ishq ki surat zaban par rakkha shikan padi na kabhi hausle ke mathe par nazar ko hum ne sada aasman par rakkha paron ke zor mein pinhan hai manzilon ka suragh isi khayal ne 'zahid' udan par rakkha