wada-o-qaul-o-qasam ne mujhe jine na diya kya sitam hai ki karam ne mujhe jine na diya dil to aamada-e-gham tha ba-in barbaadi-e-jaan magar andaza-e-gham ne mujhe jine na diya naz-bardar-e-sawal-e-dil-e-pur-khun na mila kasa-e-dida-e-nam ne mujhe jine na diya tu jafa-pesha hai kis munh se kahun duniya se apni chahat ke bharam ne mujhe jine na diya ek nadida khuda ne mere nale na sune ek patthar ke sanam ne mujhe jine na diya ek sae ka karam hai tapish-e-jaan pe hanuz ek diwar ke kham ne mujhe jine na diya sher likhta hun ki taqdir-e-tamanna ai 'shaz' hunar-e-lauh-o-qalam ne mujhe jine na diya