yaadon ka lams zehn ko chhu kar guzar gaya nashtar sa mere jism mein jaise utar gaya maujon ka shor mujh ko daraata raha magar pani mein panw rakhte hi dariya utar gaya pairon pe har taraf hi hawaon ka raqs tha ab sochta hun aaj wo manzar kidhar gaya do din mein khal-o-khat mere tabdil ho gae aaina dekhte hi main apne se dar gaya apna makan bhi tha usi mod par magar jaane main kis khayal mein auron ke ghar gaya us din mera ye dil to bahut hi udas tha shayad sukun hi ke liye dar-ba-dar gaya main sang hun na aur wo shisha hi tha magar 'aslam' jo us ko hath lagaya bikhar gaya