wahi pyas hai wahi dasht hai wahi gharana hai mashkize se tir ka rishta bahut purana hai subh sawere ran padna hai aur ghamsan ka ran raaton raat chala jae jis jis ko jaana hai ek charagh aur ek kitab aur ek umid-e-asasa us ke baad to jo kuchh hai wo sab afsana hai dariya par qabza tha jis ka us ki pyas azab jis ki dhaalen chamak rahi thin wahi nishana hai kasa-e-sham mein suraj ka sar aur aawaz-e-azan aur aawaz-e-azan kahti hai farz nibhana hai sab kahte hain aur koi din ye hangama-e-dahr dil kahta hai ek musafir aur bhi aana hai ek jazira us ke aage pichhe sat samundar sat samundar par suna hai ek khazana hai