wo jawani to jawani hi nahin jis ki ho koi kahani hi nahin dard koi be-karani hi nahin bare teri meherbani hi nahin main samajhta tha hai ghairat-mand wo us ki to aankhon mein pani hi nahin shadi-o-gham ka na gar ho imtizaj zindagani zindagani hi nahin har koi marta hai apne waqt par maut hoti na-gahani hi nahin ai dil-e-barbaad ab main kya karun baat meri tu ne mani hi nahin aaj-kal ki shaeri kya shaeri sher mauzun hai maani hi nahin main to wo kahta hun 'akhtar' jo hai haq mujh ko aati lan-tarani hi nahin