wah kis rang pe hai rang-e-bahaar-e-ariz bagh-e-firdaus ka har phul nisar-e-ariz lailatul-qadr hai ai mah tera khatt-e-siyah subh yaum-ul-'arafa nur-e-dayar-e-ariz sahar-e-id ka aaina sawad is ka hai hai chamakti hui iqlim dayar-e-ariz hai nazar khira ye hai khatt-e-siyah ka jalwa din se badh kar hai farogh-e-shab-e-tar-e-ariz ho chala barwar ab nakhl-e-jawani un ka chashm-e-bad dur hai aaghaz-e-bahaar-e-ariz mahr se badh ke hai zarre ki chamak us rukh par falak-ul-'arsh hai ya hai ye ghubar-e-ariz huren mashshata hain har haft ki khidmat hai unhen mah aaina hai mehr aaina-dar-e-ariz nur-e-rukh sabzi-e-khat pesh-e-nazar hain donon meri aankhon mein hai ye lail-o-nahaar-e-ariz ai gul-andam tere husn ki rangat hai kuchh aur phul bhi sadqe hain bulbul bhi nisar-e-ariz aaina samne hai mahw-e-tamasha hain wo dekhte hain meri aankhon se bahaar-e-ariz zulfen rukh par tere bal karti hain zeba hai unhen un ki jagir mein likkha hai dayar-e-ariz rang halka sa gulabi hai phir us par khat-e-sabz qabil-e-did hai 'akbar' ye bahaar-e-ariz