wah kya khub asiri meri taqdir mein hai panw zanjir mein dil zulf-e-girah-gir mein hai ho gai pusht-ba-diwar use dekh ke khalq ai pari-zad wo hairat teri taswir mein hai koshishen sainkadon kin hum ne asar kuchh na hua shudani nam usi ka hai wo taqdir mein hai mere ghar aap qadam-ranja karen ya shah den aap ki khak-e-qadam ka asar iksir mein hai hai ye be-chain ki dam bhar nahin laila ko qarar kaisi jhankar ye majnun teri zanjir mein hai o kaman-dar nahin jaan bhi hamein tujh se aziz hai tajjub ki tujhe kashmakash ek tir mein hai main bhi hun fikr mein teri ki barabar ki hai chot tu jo ai charkh-e-sitamgar meri tadbir mein hai hai khuda se mujhe firdaus ke milne ki umid bap aadam the mere ye meri jagir mein hai kyon na bhage ye bala-e-shab-e-hijr ai 'akbar' asar-e-ah-e-sahar nala-e-shabgir mein hai