wasl us sitam-shiar ka dushwar bhi nahin iqrar bhi nahin hai to inkar bhi nahin mayusiyon ne ki hain wo khana-kharabiyan ab dil mein shauq-e-lazzat-e-azar bhi nahin parde se mat sunao mujhe lan-taraniyan musa-sifat hain talib-e-didar bhi nahin uzr-e-visal kar ke mujhe zabh kar diya kahte ho mere hath mein talwar bhi nahin ai sabr-e-rafta aashiq-e-nashad al-madad shab-ha-e-hijr mein koi gham-khwar bhi nahin mangun dua-e-marg-e-adu aah kis tarah lazzat-faza-e-dil alam-e-yar bhi nahin ahbab dene jate hain kandha na jate kyon aisi to meri lash giran-bar bhi nahin 'akbar' ke sher sun ke jale jate hain adu kahte hain garm aap ke ashaar bhi nahin