wah ye lutf-e-soz-e-ulfat kis ki badaulat dil ki badaulat dozakh bhi hai mujh ko jannat kis ki badaulat dil ki badaulat dil mein hai daghon ki kasrat kis ki badaulat dil ki badaulat aisi daulat itni daulat kis ki badaulat dil ki badaulat sab se ulfat sab ki hasrat kis ki badaulat dil ki badaulat dawan-dol hai meri niyyat kis ki badaulat dil ki badaulat pesh-e-nazar rahte hain baham phirte hain aaankhon mein har dam husn-e-kasrat nur-e-wahdat kis ki badaulat dil ki badaulat un ko bhi hai mera sauda aur mujhe bhi sauda un ka ek hui donon ki surat kis ki badaulat dil ki badaulat dekh liya karta hun aksar ye bhi aalam wo bhi manzar sham-e-furqat subh-e-qayamat kis ki badaulat dil ki badaulat karta hun main apna matam aati hai ulfat mein paiham kis par aafat mujh par aafat kis ki badaulat dil ki badaulat main jo na bazm-e-naz mein jata kyun ghamza mujh ko tadpata hanste bolte aa gai shamat kis ki badaulat dil ki badaulat ahl-e-wafa ne mujh ko jaana ahl-e-jafa ne bhi pahchana ye hai izzat ye hai shohrat kis ki badaulat dil ki badaulat kya ho qasd nikal jaane ka ghar pa kar ab shad hai kya kya arman arman hasrat hasrat kis ki badaulat dil ki badaulat aksar mitna aksar ubharna aksar jina aksar marna rahti hai ye meri surat kis ki badaulat dil ki badaulat uthte baithte rona dhona ashkon se duniya ko dubona 'nuh' ye hai tufan ki shiddat kis ki badaulat dil ki badaulat