wahi be-libas kyariyan kahin bel buTon ke bal nahin

wahi be-libas kyariyan kahin bel buton ke bal nahin
tujhe kya bulaun main bagh mein kisi ped par koi phal nahin

hue khushk bahr to kya hua meri naw zor-e-hawa pe hai
mere baadban hain bhare hue so bala se ret mein jal nahin

hai dabaw ashra hawas par hain tamam uzw khinche rabar
hun uthal-puthal se ghira magar mujhe izn-e-radd-e-amal nahin

kisi be-ghurub nigah se kisi la-zawal shua mein
sabhi zawiyon se alag-thalag mujhe hal karo mera hal nahin

teri nind se badi aankh mein mujhe tabkar kare kiran
mujhe aisi dhat ka qalb de jise khauf-e-radd-o-badal nahin

kahin paniyon mein bichhi na ho kabhi sahilon si khuli na ho
wo zamin de mere jahaz ko jahan dusre ki pahal nahin

sabhi sard-o-garm ibaraten mere khal-o-khad ka hain zahira
jise takhliye ki amin kahun wo sunane wali ghazal nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close