wo ek rau jo lab-e-nukta-chin mein hoti hai sukhan wahi dil-e-andoh-gin mein hoti hai koi wo shak ka andhera ki jis ki jast ke baad chamak si silsila-ha-e-yaqin mein hoti hai bahaar chaak-e-gareban mein thahr jati hai junun ki mauj koi aastin mein hoti hai wo khak anjum o mahtab ko nasib nahin jo mauj marg o numu ki zamin mein hoti hai ghunuda din-e-buzurgan mein ab wo lau na rahi jo ahd-e-nau ke gham-e-atishin mein hoti hai ye raat tair-e-hijrat-zada ghanimat hai tulu-e-subh sawad-e-kamin mein hoti hai kabhi kabhi to harifana koi aatish-e-sang farogh pa ke libas-e-nagin mein hoti hai