wo kahan waqt ki moDenge inan aur taraf

wo kahan waqt ki modenge inan aur taraf
dil kisi aur taraf hai to zaban aur taraf

hain abhi ahl-e-hawas sud-o-ziyan ke hi asir
pherte hain yunhi baaton se guman aur taraf

aah-e-sozan ko meri dekh na dekha hoga
ki hawa aur taraf ki ho dhuan aur taraf

rukh raha ta-ba-sahar aur hi jaanib apna
aur tha matla-e-anwar-fashan aur taraf

baith kar ru-ba-qaza khush hain ki goya hum ne
mod dali hai zamane ki inan aur taraf

yun palat jati hain har lahza wo nazren jaise
jod kar tir ko khinchti hai kaman aur taraf

chahiye bagh ko bas ek lahu ka chhinta
aan ki aan mein jati hai khizan aur taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close